Search This Blog

Saturday, December 11, 2010

Read and Think!!!!!

Asafalta ke zindgi mein hote hain kayi maine,
Khud ko pahchanne ke liye nahi chahiye aine,
Safalta to jivan ki nadi ka bas ek hi tat,
aine ki nahi paramatma ki hai zarurat.

Aham hota hai sabme par ahankar tab ban jaye,
Jab vyakti sirf apne hi gun gaye,
ab aadmi aadmi se karta hai nafrat,
Yeh hamei kya ho gaya, hamei paramatma ki hai zarurat.

Jahan bhrashtachar aur imandari hai milta,
Aur sacchchayi par jhuth hai khilta,
Jahan vishwas-andhavishwas milne ki karte hain harkat,
Uus manushya ko aaj paramatma ki hai zaroorat.

No comments:

Post a Comment